• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tujhko Dekha to Ye Laga Hai Mujhe

Tujhko Dekha to Ye Laga Hai Mujhe

tujh ko dekha to ye laga hai mujhe

ishq sadiyon se janta hai mujhe

ashna saḌken ajnabi chehre

shahr men aur kya dikha hai mujhe

log qimat miri lagate hain

kis jagah tu ne rakh diya hai mujhe

sub.h ruḳhsat kare makan mera

shaam ko ḳhud hi DhunDhta hai mujhe

rat-jago tum hi kuchh batao ab

ishq to hai hi aur kya hai mujhe

main bhi kya dusron ke jaisa huun

ḳhud ko bahar se dekhna hai mujhe

baat sach hai magar kahun kaise

tishnagi ne Dubo diya hai mujhe

mauj-dar-mauj miT raha huun main

kaun sahil pe likh gaya hai mujhe

kis liye roz jaag jaata huun

kaun hai jis ka Dar laga hai mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Jis Ke Sath Zafar Umr Bhar uTha baiTha

ahmad-wasi

Khud Ko Chhune Se dara Karte Hain

poet

Ishq Mein KHud-Sari Nahin Hoti

muneer-niyazi

Khwab-Oi-Khayal-E-Gul Se Kidhar Jae Aadmi

Shairi Mein Nai Jihat Rakkhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet