tujh ko dekh raha huun main
aur bhala kya chahun main
duniya ki manzil hai vo
jis ko chhoḌ chuka huun main
tu jab samne hota hai
aur kahin hota huun main
aur kisi ko kya pa.un
ḳhud khoya rahta huun main
ḳhatm huiin saari baten
achchha ab chalta huun main
Leave a Reply