dena hai to nigah ko aisi rasa.i de
main dekhta huun aa.ina to mujhe tu dikha.i de
kaash aisa tal-mel sukut-o-sada men ho
us ko pukarun main to usi ko suna.i de
ai kaash is maqam pe pahuncha de us ka pyaar
vo kamyab hone pe mujh ko badha.i de
mujrim hai soch soch gunahgar saans saans
koi safa.i de to kahan tak safa.i de
har aane jaane vaale se baten tiri sunun
ye bhiik hai bahut mujhe dar ki gada.i de
ya ye bata ki kya hai mira maqsad-e-hayat
ya zindagi ki qaid se mujh ko riha.i de
kuchh ehtiram apni ana ka bhi ‘nur’ kar
yuun baat baat par na kisi ki daha.i de
Leave a Reply