• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / dil Mein Tir-E-Ishq Hai Aur Farq Par Shamshir-E-Ishq

dil Mein Tir-E-Ishq Hai Aur Farq Par Shamshir-E-Ishq

poet

dil men tir-e-ishq hai aur farq par shamshir-e-ishq

kya bataen pad gai hai paanv men zanjir-e-ishq

dekhne vaale ye kahte hain kitab-e-dahr men

tu sarapa husn ka naqsha hai main tasvir-e-ishq

kohkan aur qais mil jaaen to main un se kahun

le gae kya saath hi qabron men tum tasir-e-ishq

vah-re insaf itna bhi na vaan puchha gaya

ye qusur-e-husn hai ya asl men tasir-e-ishq

baat karne se bhi nafrat ho gai dildar ko

vah-re izhar-e-ulfat vah-re tasir-e-ishq

kya sabab kya vajh kyuun aa kar nikal jaae shikar

kyuun nishana par na jaega hamara tir-e-ishq

pahle apna sar qalam karvae phir tayyar ho

har kisi ka kaam hai jo likh sake tafsir-e-ishq

daulat-e-didar hasb-e-muddaa hasil hui

mil gai jis shakhs ko taqdir se iksir-e-ishq

husn-e-janan ki kashish duniya men baaqi rah gai

bad-nasibi se hamari ud gai tasir-e-ishq

tu bhi gul ke aine par khinch de tasvir-e-husn

main bhi bulbul ko sunaun baagh men taqrir-e-ishq

kya shikayat us ki ‘parvin’ ye to hoti aai hai

pahle ulfat ki thi izzat aur na ab tauqir-e-ishq

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sarwat-zehra

Fana Ki Anjuman Se

Kis Takalluf Kis Ehtimam Se Hum

Is Daur Ne baKHshe Hain Duniya Ko Ajab Tohfe

Zamin Par Bas Lahu Bikhra Hamara

ada-jafarey

Aashob-E-Agahi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet