tujhe zara dukh aur sisakne vaala main
tiri udasi dekh na sakne vaala main
tire badan men chingari si kya shai hai
aks zara sa aur chamakne vaala main
tire lahu men bedari si kya shai hai
lams zara sa aur mahakne vaala main
tiri ada men purkari si kya shai hai
baat zara si aur jhijakne vaala main
rangon ka ik bagh-e-hasin chehra tera
kya kya dekhun aankh jhapakne vaala main
sang nahin huun baat na manun mausam ki
hua zara si aur lachakne vaala main
safar men tanha qadam uThana mushkil hai
saath tumhare kabhi na thakne vaala main
Leave a Reply