kaleja munh ko aaya aur nafas karne laga tangi
hua kya jaan ko meri abhi to thi bhali-changi
zaqan ki chaah men ye sabzi-e-ḳhat zahr-e-qatil hai
pari hai bhang kuue men na ho kyuun ḳhalq chit-bhangi
jahan ki tarah sau sau rang pal pal men badalta hai
kabhu kuchh hai kabhu kuchh hai kabhu kuchh hai vo bahu-rangi
tire ruḳhsar se be-tarah lipTi jaa.e hai zalim
jo kuchh kahiye to bal kha uljhati hai zulf be-Dhangi
gharibon ka ḳhuda-hafiz hai ‘hatim’ dekhiye kya ho
ki vo hai chuur kaifi haath men shamshir hai nangi
Leave a Reply