tujhe apna banana chahta huun
main qismat azmana chahta huun
tujhe dil men biThana chahta huun
na.i duniya basana chahta huun
gham-e-dauran se gar mil jaa.e fursat
main hansna muskurana chahta huun
bahut da.ava hai tujh ko dosti ka
tujhe bhi azmana chahta huun
bahut taḌpa rahi hain us ki yaden
main us ko bhuul jaana chahta huun
mire rab ki hifazat men hai kashti
ye tufan ko batana chahta huun
sabaq uns-o-mohabbat ka ‘zaki’ main
zamane ko paḌhana chahta huun
Leave a Reply