• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Utre Tilism Shab Ke Ujalon Pe Raat-Bhar

Utre Tilism Shab Ke Ujalon Pe Raat-Bhar

utre tilism shab ke ujalon pe rat-bhar

qurban hui hai sub.h charaghon pe rat-bhar

zulmat men apni Duub ga.iin din ki bastiyan

suraj tamam chamke sitaron pe rat-bhar

utre nahin shabon men uḌanon ke hausle

baiThe rahe parind bhi shaḳhon pe rat-bhar

ik lau nahin nasib ghariban-e-shahr ko

sham.en jali hain kitni mazaron pe rat-bhar

Dhalti rahi nigah men chehron ki chandni

nazil hue yaqin gumanon pe rat-bhar

pairahan-e-jamal hai raḳht-e-barahnagi

pahne ga.e hain jism libason pe rat-bhar

ḳhushbu men jazb ho ga.iin mahtabiyan ‘samad’

shabnam hui nisar gulabon pe rat-bhar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kanch Ke Shahr Mein Patthar Na uThao Yaro

poet

dil Kis Ki Tegh-E-Naz Se Lazzat-Chashida Hai

momin-khan-momin

Aag Ashk-E-Garm Ko Lage Ji Kya Hi Jal Gaya

Achchha Lag Jae Kya Bura Lag Jae

ajmal-siddiqi

Na Nazar Se Koi Guzar Saka Na Hi dil Se Malba Hata Saka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet