tujh men kitna gum huun aur kitna nazar aata huun main
aata jaata a.inon ko munh dikha jaata huun main
us ke ba.ad agli qayamat kya hai kis ko hosh hai
zaḳhm sahlata tha aur ab daagh dikhlata huun main
naqsh-bar-divar huun aur baat kar sakta nahin
aisi halat men bhi jo kahta huun manvata huun main
ḳhaksari hi nahin ye gham-gusari bhi to hai
paanv rakhta huun jahan miTTi uTha laata huun main
harf ke avaza-e-aḳhir ko kar deta huun nazm
sher kya kahta huun ḳhamoshi ko phailta huun main
din Dhale kuchh der Dhal jaata bhi huun suraj ke saath
shaam hote hi charaghon se ubhar aata huun main
Leave a Reply