ḳhazana kaun sa us paar hoga
vahan bhi ret ka ambar hoga
ye saare shahr men dahshat si kyuun hai
yaqinan kal koi tyauhar hoga
badal ja.egi us bachche ki duniya
jab us ke samne aḳhbar hoga
use nakamiyan ḳhud DhunD lengi
yahan jo sahab-e-kirdar hoga
samajh jaate hain dariya ke musafir
jahan main huun vahan manjdhar hoga
zamane ko badalne ka irada
kaha to tha tujhe bekar hoga
Leave a Reply