haq nahīñ mujh ko shādmānī kā
shukriya ġham kī mehrbānī kā
aap ke aur hamāre aañsū meñ
farq hai aag aur paanī kā
hai mohabbat kā naam umr-e-abad
zikr hī kyā hayāt-e-fānī kā
ḳhud mire dil ne merī āñkhoñ ko
farz sauñpā hai ḳhūñ-fishānī kā
ahl-e-dil kī kahāniyāñ tauba
ek unvāñ hai har kahānī kā
kyoñ na sargoshiyāñ hoñ mahfil meñ
faiz hai merī be-zabānī kā
tere ġham se sivā ye ġham hai hameñ
jaane kyā ho tirī nishānī kā
sher rūdād-e-dil hai naam nahīñ
sirf alfāz kī ravānī kā
kārvāñ ke ġhubār meñ ‘ashraf’
chhup gayā rañg zindagānī kā