tujh bevafa ki aah koi chaah kya kare
dil tujh ko de ke tu hi bata aah kya kare
jis dil-jale ki tujh se lage shama-san lagan
sar se vo guzre aur tu vallah kya kare
zaari fughan o naala sabhi be-asar hain aah
is sang-dil ke dil men koi raah kya kare
is mah-e-kucha-gard ke taiin dhundhta hua
har shab gali gali na phire aah kya kare
yaqub ki tarah to bahut roe dekhiye
ai yusuf-e-zamana tiri chaah kya kare
jaate hain su-e-dair rah-e-kaba chhod kar
haq men hamare dekhiye allah kya kare
koi dhundhta katan ke taiin yaaro par hai gham
milta kahin nahin dil-e-agah kya kare
ki dil ne dil-baran-e-jahan ki bahut talash
koi dil-ruba mila hai na dil-khvah kya kare
is ku-e-zulf men ai ‘jahandar’ ja phansa
dil kis tarah se gum na kare raah kya kare
Leave a Reply