uThti ghaTa hai kis tarah bole vo zulf uTha ki yuun
barq chamakti kyunki hai hans ke ye phir kaha ki yuun
chori se us ke paanv tak pahunchi thi shab ko kis tarah
aa kahin haath mat bandha kah de ab ai hina ki yuun
din ko falak pe kahkashan nikle hai kyunki ghair-e-shab
chin-e-jabin dikha mujhe us ne diya bata ki yuun
jaise kaha ki ashiqan rahte hain kyunki chak-jeb
us ko gul-e-chaman dikha kah ke chali saba ki yuun
ho ga.e bar-sar-e-ḳhalish le ke sinan jo ḳhar-e-dasht
kar ne kalam tab laga qais-e-barhana-pa ki yuun
puchhe hai vo ki kis tarah shisha-o-jam ka hai saath
kah de mila ke chashm se chashm ko saqiya ki yuun
karte safar hain kis tarah bahr-e-jahan se ai hubab
ḳheme ko apne laad kar kar de ye uqda va ki yuun
Leave a Reply