tu ziyada men se bahar nahin aaya karta
main ziyada ko mayassar nahin aaya karta
main tira vaqt huun aur ruuth ke jaane laga huun
rok le yaar main ja kar nahin aaya karta
ai palat aane ki khvahish ye zara dhyan men rakh
jang se koi barabar nahin aaya karta
chand pedon ko hi majnun ki dua hoti hai
sab darakhton pe to patthar nahin aaya karta
ab mujavir bhi qalandar se bade ho gae hain
ab mazaron pe kabutar nahin aaya karta
Leave a Reply