muddat ke baad is ne likha mere naam khat
meri shikayaton se bhara hai tamam khat
ghabra na is qadar dil-e-betab sabr kar
aata hai koi roz men ab subh-o-sham khat
likkha hua hai khaas tumhare hi haath ka
pahchanta hai khuub tumhara ghulam khat
tahrir un ki siina pe rakh dijiyo mire
badle javab-e-nama ke aaega kaam khat
likkha hai ab na likkhenge ham koi khat tujhe
khat aaya meri maut ka laaya payam khat
zaaea na jaegi tiri mehnat kisi tarah
qasid ajura deta huun chutki men thaam khat
ashiq-navaziyan hain tabiat men yaar ki
likkha hai har mahine men bhejo mudam khat
tahrir kar ke saikadon vaade mukar gae
dikhlaunga huzur ko roz-e-qayam khat
khat likh ke aaj daak pe pahunchenge yaar ko
pahunchaega hamara payam-o-salam khat
‘agha’ nisar hojiye inaam dijiye
laaya hai un ka qasid-e-sarsar-khiram khat
Leave a Reply