tu pasheman na ho main shaad huun nashad nahin
zindagi tera karam hai tiri bedad nahin
vo sanam-ḳhana-e-dil ho ki guzar-gah-e-ḳhayal
main ne tujh ko kahin dekha hai magar yaad nahin
dekh ai ḳhak-e-pareshani-e-ḳhatir meri
tu ne samjha tha ki tujh sa koi barbad nahin
DhunDti phirti hain jaane miri nazren kis ko
aisi basti men jahan koi bhi abad nahin
kab hamen apni udasi ki ḳhabar thi ai ‘zeb’
muskura.e hain to dekha hai ki dil shaad nahin
Leave a Reply