chal tujhe yaar ghuma laata huun
asman paar ghuma laata huun
vaqt muTThi men hai gar chaho to
pichhle advar ghuma laata huun
dil tujhe maut paḌi hai kaisi
kyuun hai bezar ghuma laata huun
ab zara dasht ko bhi dekh aa.en
kar na inkar ghuma laata huun
main to us paar bhi ja sakta huun
ai mire yaar ghuma laata huun
Leave a Reply