mehrbani hai ayadat ko jo aate hain magar
kis tarah un se hamara haal dekha jaega
daftar-e-duniya ulat jaega batil yak-qalam
zarra zarra sab ka asli haal dekha jaega
official aamal-nama ki na hogi kuchh sanad
hashr men to nama-e-aamal dekha jaega
bach rahe taun se to ahl-e-ghaflat bol uthe
ab to mohlat hai phir agle saal dekha jaega
tah karo sahab nasb-nami vo vaqt aaya hai ab
be-asar hogi sharafat maal dekha jaega
rakh qadam sabit na chhod ‘akbar’ sirat-e-mustaqim
khair chal jaane de un ki chaal dekha jaega