tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe
kyuun na kar jaata bhari mahfil men dil tanha mujhe
shaḳh-dar-shaḳh ab koi DhunDa kare patta mujhe
main to ḳhud TuuTa huun andhi ne nahin toḌa mujhe
laghzish-e-pa ne diya har raah men dhoka mujhe
ta-dar-e-manzil tu hi ai jazb-e-dil pahuncha mujhe
surat-e-a.ina hairat se vo takta rah gaya
a.ina-ḳhane men jis ne ghaur se dekha mujhe
maar hi Dalegi ik din karobar-e-zist men
tang-damani tiri ai vus.at-e-duniya mujhe
umr-bhar milti rahi teri adalat se na puchh
meri na-karda-gunahi ki saza kya kya mujhe
barg-e-gul par raqs-e-shabnam ka ye manzar ai ‘ziya’
ab to aata hai nazar har qatre men dariya mujhe
Leave a Reply