niind men gunguna raha huun main
ḳhvab ki dhun bana raha huun main
ek muddat se baagh duniya ka
apne dil men laga raha huun main
kya bata.un tumhen vo shahr tha kya
jis ki aab o hava raha huun main
ab tujhe mera naam yaad nahin
jab ki tera pata raha huun main
aaj kal to kisi sada ki tarah
apne andar se aa raha huun main
aisa murda tha main ki jiine ke
ḳhauf men mubtala raha huun main