hamare haq men dua karega
vo ik na ik din vafa karega
bichhaḌ gaya hai magar yaqin hai
kabhi kabhi vo mila karega
tu apne ashiq ko saath rakh le
bichhaḌ gaya to nasha karega
jo apni halat ka ḳhud sabab ho
vo kya kisi se gila karega
agar ye duniya ujaḌ ga.i to
kabhi ye socha hai kya karega
main janta huun ki ik farishta
jo zindagi se riha karega
abhi tu sha.ir nahin hai ‘rav’
ḳhuda vo din bhi ata karega
Leave a Reply