aghosh-e-tasavvur men jab main ne use maska
lab-ha-e-mubarak se ik shor tha ”bas bas” ka
sau baar harir us ka maska nigah-e-gul se
shabnam se kab ai bulbul pairahan-e-gul maska
us tan ko nahin taqat shabnam ke talabbus se
ai dast-e-havas is par tu qasd na kar mas ka
malti hai pari ankhen aur huur jabin sa hai
hai naqsh-e-jahan yaaro us pa-e-muqaddas ka
tar rakhiyo sada ya-rab tu is mizha-e-tar ko
ham itr lagate hain garmi men isi khas ka
is girya-e-khunin ki daulat se ‘nazir’ apne
ab kalba-e-ahzan men kul farsh hai atlas ka
Leave a Reply