tu ne kabhi bhi aansu baha kar nahin dekha
namnak nigahon se mana kar nahin dekha
ghairon ne kabhi haath mila kar nahin dekha
apnon ne bhi siine se laga kar nahin dekha
nazron men ḳhayalon men samaya tha bahut vo
har chand use dil se laga kar nahin dekha
main janta tha rahti na hasti-e-samundar
main ne do kinaron ko mila kar nahin dekha
bichhḌa bhi to is naaz se andaz se bichhḌa
phir us ne kabhi lauT ke aa kar nahin dekha
us ne bhi kabhi pursish-e-gham ki nahin ‘faisal’
main ne bhi kabhi dard suna kar nahin dekha
Leave a Reply