tu mila to mujhe yaqin aaya
main yahan be-sabab nahin aaya
mujh se tujh men kashish ziyada thi
is liye main tire qarin aaya
jaane dariya ke paar kya hai ki jo
muskurata gaya hazin aaya
jahan aana na chahiye tha kabhi
dil siyah-baḳht tha vahin aaya
qabr hai ya black-hole koi
jo gaya lauT kar nahin aaya
jhuum uThe hain sabhi sitare ‘zaki’
kahkashan men koi makin aaya
Leave a Reply