na angiya na kurti hai jaani tumhari
nahin paas koi nishani tumhari
hui ‘rind’ to zindagani tumhari
yahi hai agar na-tavani tumhari
ziyada hui yaad jaani tumhari
gharaz qahr hai mehrbani tumhari
na bhulunga hargiz na bhula huun ab tak
inayat karam mehrbani tumhari
shabih aap ki khinch dega ye maana
ada kis tarah khinche maani tumhari
tabah-o-ḳharab ik jahan ko kiya hai
ḳhuda ka ghazab hai javani tumhari
vahi kah raha huun jo farmate ho tum
miri guftugu hai zabani tumhari
barabar samajhte ho ghairon ke mujh ko
rahe mehrban qadrdani tumhari
dil o diida lapka hai phansne ka tum ko
kahan tak karun pasbani tumhari
bas ab shakl dikhlao be-ja hai ghamza
bahut sun chuke lan-tarani tumhari
adam ko chala le ke dagh-e-mohabbat
dikha.unga sab ko nishani tumhari
kiya imtihan mera sau ma.arakon men
vahi hai magar bad-gumani tumhari
jaga kar dil-e-zar ne hijr ki shab
sahar tak kahi hai kahani tumhari
bura gar na maano to sach sach main kah duun
tum achchhe buri bad-zabani tumhari
karam kijiye aa.iye hazrat-e-ishq
hai ḳhun-e-jigar mehmani tumhari
abas be-sabab be-jahat ruThte ho
yahi to bari ḳhu hai jaani tumhari
bhala tum hi munsif ho lillah bolo
vo kya baat thi jo na maani tumhari
vo piiri men bhi ‘rind’ dekhe ab aa kar
jise yaad hove javani tumhari
Leave a Reply