• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aashna Kab Ho Hai Ye Zikr dil-E-Shad Ke Sath

Aashna Kab Ho Hai Ye Zikr dil-E-Shad Ke Sath

poet

ashna kab ho hai ye zikr dil-e-shad ke saath

lab ko nisbat hai mire zamzama-e-dad ke saath

bas ki hai chashm-e-muravvat se bhara girya-zar

pada phirta hai mire nala-o-fariyad ke saath

yaad us lutf-e-huzuri ka karen kya hasil

aa pada kaam faqat ab to tiri yaad ke saath

zulm hai haq men hamare tira ab tark-e-sitam

dil ko hai uns sa ik us tiri bedad ke saath

zulf o kakul se qavi husn ka baazu hai mudam

qafas o daam rahe jaise ki sayyad ke saath

khun-e-nahaq raha parvez ki gardan pe vale

lutf-e-shirin ne sitam ye kiya farhad ke saath

rasti se bhala itna bhi guzarna kya hai

nisbat is qad ko na do sarv ke shamshad ke saath

dast o pa kar ke main gum nikla dabe-panv kya

mila vo tifl mujhe raat jo ustad ke saath

‘hasrat’ itna jo tu maail hai giraftari ka

kuchh adavat hai tujhe khatir-e-azad ke saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gham-E-Firaq Ragon Mein Utar Gaya Hota

Ashk daman Mein Bhare Khwab Kamar Par Rakkha

Zamin Se Ta-Falak Chhai Hui Hai Raushni-E-La

Narm Lahje Mein Tahammul Se Zara Baat Karo

KHamoshi Ke Dar-Parda Mahsus Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet