Tu KHush-Nasib Hai Har shaKHs Hai Asiron Mein

tū ḳhush-nasīb hai har shaḳhs hai asīroñ meñ

likhā huā hai tire haath kī lakīroñ meñ

jo ho sake to mujhe bhī kahīñ talāsh karo

maiñ kho gayā huuñ ḳhayālāt ke jazīroñ meñ

ye inqilāb-e-zamāna nahīñ to phir kyā hai

amīr-e-shahr jo kal thā vo hai faqīroñ meñ

hameñ ye chāhiye hushiyār rahbaroñ se raheñ

ki zahr bhī haiñ lage maslahat ke tīroñ meñ

saḌak pe ho gayā phir koī hādisa shāyad

ik iztirāb sā lagtā hai rāhgīroñ meñ

ḳhulūs-e-fan hī to ‘nādir’ kā hai ki shāmil hai

ab us kā naam bhī shahr-e-suḳhan ke mīroñ meñ

Leave a Comment