tu kahan hai tujh se ik nisbat thi meri zaat ko
kab se palkon par uTha.e phir raha huun raat ko
mere hisse ki zamin banjar thi main vaqif na tha
be-sabab ilzam main deta raha barsat ko
kaisi basti thi jahan par koi bhi aisa na tha
munkashif main jis pe karta apne dil ki baat ko
saari duniya ke masa.il yuun mujhe darpesh hain
tera gham kaafi na ho jaise guzar-auqat ko
Leave a Reply