tu hai kis manzil men tera bol khaan hai dil ka Thaar
dam tira aata hai khaan suun bol khaan jaata hai bhaar
dam ke ta.iin bujha so kahte is ke ta.iin insan hai
nahin to surat aadmi sirat men hai misl-e-himar
main kahta so kaun hai aur tu samajhta hai kise
kyuun abas main tu men paḌ kar be-abas hota hai ḳhvar
rahbar hai kaun tera bol tu kis ka faqir
faqr ka kya hasila samjha mujhe mat ho ganvar
ashiqan ke bazm men ik rang ho ai bul-havas
mat kaha bulbul naman chaunDa phula kar tajdar
bahar ke ghavvas se mat bahs kar ai ḳham-tab.a
nahin gaya hai umr men apne tu dariya ke kanar
kaj-bahas aata hai karne jang jab ushshaq suun
jyuun ki tair-e-haft-rangi ho gaya aa kar shikar
puchhta aaya huun jo kuchh svaal ka mere javab
thartharata hai abas simab namne be-qarar
ta kahe lag jvaab tujh par faqr ka luqma haram
bazm-e-rindan suun nikal ja jald-tar ho kar farar
shor aur ghaugha abas karta hai kyuun rang kar libas
munh uTha jaata hai jyuun be-qaid shutr-e-be-mahar
ai ‘alimullah’ na kar kaj-bahas suun svaal o javab
hasila tarfain nahin hota ba-juz ghaugha pukar
Leave a Reply