tu bhali baat se hi meri khafa hota hai
aah kya chahna aisa hi bura hota hai
tere abru se mira dil na chhutega hargiz
gosht nakhun se bhala koi juda hota hai
main samajhta huun tujhe khuub tarah ai ayyar
tere is makr ke ikhlas se kya hota hai
hai kaf-e-khak miri bas-ki tab-e-ishq se garm
paanv vaan jis ka pade abla-pa hota hai
dil mira haath se jaata hai karun kya tadbir
yaar muddat ka mira haae juda hota hai
rahbar manzil-e-maqsud ko darkar nahin
shauq-e-dil apna hi yaan rah-numa hota hai
ghair harjai mira yaar liye jaata hai
mujh pe ‘taban’ ye sitam aaj bada hota hai