• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Holi

Holi

nazeer-akbarabadi

aa dhamke aish o tarab kya kya jab husn dikhaya holi ne

har aan khushi ki dhuum hui yuun lutf jataya holi ne

har khatir ko khursand kiya har dil ko lubhaya holi ne

daf rangin naqsh sunahri ka jis vaqt bajaya holi ne

bazar gali aur kuchon men ghul-shor machaya holi ne

ya svang kahun ya rang kahun ya husn bataun holi ka

sab abran tan par jhamak raha aur kesar ka mathe tiika

hans dena har-dam naz-bhara dikhlana saj-dhaj shokhi ka

har gali, misri, qand-bhari, har ek qadam atkheli ka

dil shaad kiya aur moh liya ye, jauban paaya holi ne

kuchh table khatke taal baje kuchh dholak aur murdang baji

kuchh jhadpen biin rababon ki kuchh sarangi aur chang baji

kuchh taar tamburon ke jhanke kuchh dhamdhi aur munh-chang baji

kuchh ghungru khatke jham-jham-jham kuchh gat gat par ahang baji

hai har dam nachne gaane ka ye taar bandhaya holi ne

har jagah thaal gulalon se, khush-rangat ki gul-kari hai

aur dher abiron ke lage, so ishrat ki tayyari hai

hain raag baharen dikhlate aur rang-bhari pichkari hai

munh surkhi se gulnar hue tan kesar ki si kyari hai

ye ruup jhamakta dikhlaya ye rang dikhaya holi ne

har aan khushi se aapas men sab hans hans rang chhidakte hain

rukhsar gulalon se gul-gun, kapdon se rang tapakte hain

kuchh raag aur rang jhamakte hain kuchh mai ke jaam chhalakte hain

kuchh kuude hain, kuchh uchhle hain, kuchh hanste hain, kuchh bikte hain

ye taur ye naqsha ishrat ka har aan banaya holi ne

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kisi Ke Main Libas-E-Ariyat Ko Kya Samajhta Hun

poet

Jab Tu Hi Kahin Be-Sar-O-Saman paDa Hai

Lamha Lamha Mera Har Ek Se Siwa Jagta Hai

Pyas Se Meri Dar Gaya Pani

allama-iqbal

Faqr Ke Hain Mojazat Taj O Sarir O Sipah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet