tu aaj aina-ru mujh paas aa ja
bahar-surat mujhe surat dikha ja
tu aa ai atish-e-barq-e-gham-e-yar
mira ye khirman-e-hasti jala ja
miri aati hai bas niind aae to aap
ye apni chashm-poshi dekhta ja
miri jaari hain aansu aah qasid
shitabi kah ye us ko majra ja
likha main ne ye us yusuf ko kal khat
aziia dilbara nazuk-mizaja
rakhi hai chaah teri aah betab
qalaq is mere dil ka tu mita ja
khuda hi hai miri kashti ka hafiz
khuda ke vaste tu nakhuda ja
na sunva ghair ki baten sun ai yaar
tire jo ji men aave tu suna ja
vahi hai ja-ba-ja beja nahin ye
baja hai us ki hi har ek ja-ja
agar jaata hai ai mere masiha
ilaaj is dard-e-dil ka tu bata ja
miri siina pe rakh dast-e-nigarin
miri ye aag dil ki tu bujha ja
agar baitha hai naseh munh ko si baith
vagarna yaan se uth ai be-haya ja
tiri naubat hi ‘ehsan’ koi din yaan
tu danka ishq ka har ja baja ja
Leave a Reply