to kya hua jo tamasha.i ho gaya huun main
tire hi haq men to sab jhuuT bolta huun main
nahin ye dukh to kisi aur ke sabab hai sab
tumhen to dil se riha.i bhi de chuka huun main
Darun na kyon main bhala teri gham-gusari se
ki is ke ba.ad ke sab moḌ janta huun main
ye puchhna tha ki meri bhi kuchh jagah hai kahin
tumhare dar pe khaḌa sard paḌ raha huun main
mujhe pata hai ki rone se kuchh nahin hota
naya sa dukh hai to thoḌa chhalak gaya huun main
Leave a Reply