ruuh bakhshi hai kaam tujh lab ka
dam-e-isa hai naam tujh lab ka
husn ke khizr ne kiya labrez
ab-e-haivan suun jaam tujh lab ka
mantiq-o-hikmat-o-maani par
mushtamil hai kalam tujh lab ka
jannat-e-husn men kiya haq ne
hauz-e-kausar maqam tujh lab ka
rag-e-yaqut ke qalam suun likhen
khat paristan payam tujh lab ka
sabza-o-barg-o-lala rakhte hain
shauq dil men davam tujh lab ka
gharq-e-shakkar hue hain kam-o-zaban
jab liya huun main naam tujh lab ka
misl-e-yaqut khat men hai shagird
saghar-e-mai mudam tujh lab ka
hai ‘vali’ ki zaban ko lazzat-bakhsh
zikr har subh-o-sham tujh lab ka
Leave a Reply