baja ki lutf hai duniya men shor karne ka
nasha kuchh aur hai gum-nam maut marne ka
abas hai zoam samundar ke paar utarne ka
ye silsila hai faqat dubne ubharne ka
ajab saman tha ki tazlil bhi thi kaif-angez
vo mera vaqt tiri sidhiyan utarne ka
kafan men paanv hilen pairahan men laash chale
hamara ahd na jiine ka hai na marne ka
ye agahi ka maraz la-ilaj hai baaba
bukhar utarne ka hai ye na zakhm bharne ka
yahi vo saat-e-fan jis men aap hon na mukhil
yahi hai vaqt magar ham se baat karne ka
sabhi ne pyaar se sarf-e-nazar kiya ham ko
na aaya ‘saz’ tariqa hamen akharne ka
Leave a Reply