to kya hua jo mire saath aaj tu nahin hai
faqat yahi ki hai virani hav-hu nahin hai
tumhare saath jo ik roz meri baat na ho
to yuun lage ki kisi se bhi guftugu nahin hai
ye zaḳhm-e-dil ki numa.ish nahin tamasha-garo
dar-asl baat ye hai pairahan rafu nahin hai
kisi ne dekha nahin ham ne jaise dekha use
ghalat kaha hai kisi ne vo ḳhub-ru nahin hai
abhi abhi jo mujhe tujh pe pyaar aa raha hai
ḳhuda ka shukr ada kar tu ru-ba-ru nahin hai
main aap apna muḳhalif main aap apna harif
mire alava mira koi bhi adu nahin hai
Leave a Reply