pahle inkar bahut karta hai
ba.ad men pyaar bahut karta hai
chuum kar jalti hui peshani
vo gunahgar bahut karta hai
maan leta hai vo saari baten
phir bhi takrar bahut karta hai
ghar se bahar nahin aata lekin
har-singhar bahut karta hai
zard patton ka sunahra mausam
mujh ko bimar bahut karta hai
ek bosa ho ya aansu ‘qaisar’
chehra gulnar bahut karta hai
Leave a Reply