Thokaren kha ke sambhalna nahin aata hai mujhe
chal mire saath ki chalna nahin aata hai mujhe
apni ankhon se baha de koi mere aansu
apni ankhon se nikalna nahin aata hai mujhe
ab tiri garmi-e-aghosh hi tadbir kare
mom ho kar bhi pighalna nahin aata hai mujhe
shaam kar deta hai aksar koi zulfon vaala
varna vo din huun ki Dhalna nahin aata hai mujhe
kitne dil toḌ chuka huun isi be-hunari se
jaal men phans ke nikalna nahin aata hai mujhe
beach dariya ke main dariya to badal sakta huun
apni kashti ko badalna nahin aata hai mujhe
apne ma.ani ko badalna to mujhe aata hai
in ke lafzon ko badalna nahin aata hai mujhe
‘farhat-ehsas’ taraqqi nahin karni mujh ko
itni raftar se chalna nahin aata hai mujhe
Leave a Reply