thi kahan jur.at kisi men haan magar us ne kiya
dil ke is ḳhali makan ko aaj ghar us ne kiya
ik zamana tha ki duniya thi mire qadmon tale
phir zamane bhar se mujh ko be-ḳhabar us ne kiya
main ne jis ki raah men dil ko jala kar rakh diya
mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya
mast nazron ke sharabi ko bhala kya chahiye
ik jhalak ke vaste kitna safar us ne kiya
phuul ḳhushbu rang titli isti.are hain magar
mujh ko ye sab naam de kar mo’atabar us ne kiya
aaj us ke dil men meri yaad phir raushan hui
aaj phir raushan diya divar par us ne kiya
haath men vo haath mera thaam kar chalta raha
zindagi ke faslon ko muḳhtasar us ne kiya
phuul kaliyan jis ke collar men saja kar aa ga.i
zindagi ki ketiyon ko be-samar us ne kiya
jis ke honTon par tabassum tha ‘tabassum’ ke liye
vo tabassum ghair ke phir naam par us ne kiya
Leave a Reply