Thahre to Kahan Thahre aaKHir Meri Binai

Thahre to kahāñ Thahre āḳhir mirī bīnā.ī

har shaḳhs tamāshā hai har shaḳhs tamāshā.ī

ye husn kā dhokā bhī dil ke liye kaafī thā

chhūne ke liye kab thī mahtāb kī ūñchā.ī

ā.īne kī hājat se inkār nahīñ lekin

is darja na thā pahle dastūr-e-ḳhud-ārā.ī

sarmāya-e-dil āḳhir aur is ke sivā kyā hai

har dard se rishta hai har ġham se shanāsā.ī

patthar sā haTe dil se kuchh mujh ko bhī kahne do

go talḳh to guzregī tum ko mirī sachchā.ī

shikva na kareñ ham bhī bharpūr tavajjoh kā

dekhā na karo tum bhī har zaḳhm kī gahrā.ī

duniyā se nirālā hai ‘asrār’ chalan apnā

tanhā.ī meñ mahfil hai mahfil meñ hai tanhā.ī

Leave a Comment