
Faza Ibn E Faizi
tha kahan likhna use lekin kahan par likh diya
main zamin ka harf mujh ko asman par likh diya
jis ke paḌhne se rahi qasir bhanvar ki aankh bhi
kaun jaane kya hava ne badban par likh diya
kuchh to kar dariya mire in ko Dubo ya paar kar
kashtiyon ne apna dukh ab-e-ravan par likh diya
baiTh kar ab zard patton ke varaq palTa karo
tabsira likhne ko mausam ne ḳhizan par likh diya
hashr men ḳhana-ḳharabi ko Thikana chahiye
us ne mera naam bhi apne makan par likh diya
aur ba-ma.ani hua tashkik ka pichhla nisab
kya kahun ahl-e-yaqin ne kya guman par likh diya
tum ise kah lo hisab-e-dostan-dar-dil ‘faza’
ham ne apna naf.a bhi lauh-e-ziyan par likh diya

Leave a Reply