jo zamin par faragh rakhte hain
asman par dimagh rakhte hain
saaqi bhar bhar unhin ko de hai sharab
jo ki labrez ayagh rakhte hain
tere daghon ki daulat ai gul-ru
ham bhi siine men baagh rakhte hain
hajat-e-shama kya hai turbat par
ham ki dil sa charagh rakhte hain
aap ko ham ne kho diya hai ‘bayan’
aah kis ka suragh rakhte hain
Leave a Reply