sang-e-dushnam ko gauhar jaana
ham ne dushman ko bhi dilbar jaana
nang-e-ulfat hi raha parvana
us ko aata hai faqat mar jaana
puchh lena dar-o-divar ka haal
ai bagulo jo mire ghar jaana
sar qalam karte rahe zulm ke haath
yaar logon ne muqaddar jaana
kam-nigahi ne Duboya ham ko
ek qatre ko samundar jaana
tesha-bardar ko farhad kaha
a.ina-gar ko sikandar jaana
ham haqiqat men the kohsar magar
ḳhud ko zarron se bhi kam-tar jaana
Leave a Reply