• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Humne Phulon Ko Jo Dekha Lab-O-ruKHsar Ke Baad

Humne Phulon Ko Jo Dekha Lab-O-ruKHsar Ke Baad

ham ne phulon ko jo dekha lab-o-ruḳhsar ke ba.ad

phuul dekhe na ga.e husn-e-ruḳh-e-yar ke ba.ad

kaam nazron se liya abru-e-ḳhamdar ke ba.ad

tiir maare mujhe us shoḳh ne talvar ke ba.ad

jis pe ho jaa.en fida koi bhi aisa na mila

saikḌon dekhe hasin aap ke didar ke ba.ad

dilruba.i ki ada yuun na kisi ne paa.i

mere sarkar se pahle mire sarkar ke ba.ad

zindagi maut se kuchh kam na thi ai jan-e-hayat

tere iqrar se pahle tire inkar ke ba.ad

dil-o-jan kar ke fida un ko banaya apna

ishq ke khel men jiit apni hui haar ke ba.ad

chain phir aur kahin pa na sake ai ‘purnam’

ham zamane men phire kucha-e-dildar ke ba.ad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pyar Ki Tere Nishani Hae Hae

Aane Wale Sher Pe Rae Bari Bari baiThegi

Shairi Baat Nahin Garm-E-suKHan Hone Ki

poet

Main Nikal Ke Aa Gaya Hun Teri Bandagi Se Aage

ahmad-javed

Hargiz Na Rah Pai Farda-O-di Ne dil Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet