chhanv nahin shajar nahin
aur tu ham-safar nahin
dil se dhuan uTha magar
raakh nahin sharar nahin
aTh-pahr udaas huun
shaam nahin sahar nahin
ye to maqam aur hai
dasht nahin ghar nahin
dekh lahu hai aankh men
ashk nahin guhar nahin
aas ki shaḳh par kahin
barg nahin samar nahin
us ko ḳhabar hai mujh men kya
aib nahin hunar nahin
Leave a Reply