tha janib-e-dil sub.h-dam vo khush-khiram aaya hua
aadha qadam su-e-gurez aur nim-gam aaya hua
raqs aur pa-kubi karun lazim hai majzubi karun
dekho to hai mera sanam mera imaam aaya hua
dariya-e-darveshi ke beach tufan-e-be-khveshi ke beach
vo gauhar-e-sairab vo sahab-maqam aaya hua
ai dil bata ai chashm kah ye ru-e-dil-bar hi to hai
ya mah-e-charkh-haft men bala-e-bam aaya hua
hai zarra zarra par sada ahlav-va-sahlan marhaba
kya sar-zamin-e-dil pe hai vo aaj shaam aaya hua
tujh par padi ye ki chhut ai chashm-e-hairan kuchh to phuut
kya hadd-e-binai men hai vo ghaib-e-fam aaya hua
larzan hai dil men raaz sa shoala qadim-avam sa
ya lala-e-khamosh par rang-e-davam aaya hua
hai mausam-e-divangi phir chaak ijad miri
lauta rahe hain pahle ka khayyat kaam aaya hua
meri taraf se ai aziiz dil men na rakhna koi chiiz
phirte bhi dekha hai kahin sahab ghulam aaya hua
khurshid-samani tiri aur zarra-damani miri
hai ajuba dekhne har khas-o-am aaya hua
ik girdadi sahra samet ik mauj uthi dariya samet
duniya-e-khak-o-ab men tha koi shaam aaya hua
yak umr-raftari ke saath yak mah-sayyari ke saath
yak charkh-e-davari ke saath gardish men jaam aaya hua
sad-chashm bedari ke saath sad-sina sarshari ke saath
sau sau tarah shahbaz dil hai zer-e-dam aaya hua