• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tha Ek Saya Sa Pichhe Pichhe Jo Mud Ke dekha To Kuchh Nahin Tha

Tha Ek Saya Sa Pichhe Pichhe Jo Mud Ke dekha To Kuchh Nahin Tha

akhtar-hoshiyarpuri

tha ek saaya sa pichhe pichhe jo muḌ ke dekha to kuchh nahin tha

ab apni surat ko dekhta huun kabhi jo sad-paikar-afrin tha

vo phir bhi jaan se aziz-tar tha tabi.aten go juda juda thiin

agarche ham-zad bhi nahin tha vo mera ham-shakl bhi nahin tha

main ruk sakunga Thahar sakunga thakan safar ki miTa sakunga

kahin to koi shajar milega tamam raste yahi yaqin tha

kai chaTanen gudaz jismon men apni garmi se dhal gai thiin

buton ke qisse men tesha-karon ka tazkira bhi kahin kahin tha

na jaane kya dhund darmiyan thi ki kohkan ki nazar na pahunchi

jahan se phuTa tha chashma-e-mah-shab ka patthar bhi to vahin tha

main apni avaz ke ta.aqub men mavara-e-nazar bhi pahuncha

magar palaT kar na us ne puchha ki main ḳhala ke bahut qarin tha

vahi manazir luTe luTe se vahi shikasta makan ‘aḳhtar’

main roz-marra ke raste se jo ghar men pahuncha bahut hazin tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ho Gae Din Jinhen Bhulae Hue

Visal Aise Bhi Mahnga paDega Donon Ko

Be-Waza Shab-O-Roz Ki Taswir Dikha Kar

jhuTh Ka Bolna Aasan Nahin Hota Hai

Dil to Karta Hai KHair Karta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet