tezi tire mizhgan ki ye nashtar se kahunga
abru ki shikayat dam-e-ḳhanjar se kahunga
ham-rang-e-sham.a ishq men tere huun va-lekin
ye soz-e-jigar atish mujmar se kahunga
dekha huun main jis roz se tujh husn ka jhalka
hai dil men kabhi jama-e-anvar se kahunga
tangi jo tire pista-dahan ki hai sarasar
sar-basta suḳhan ghuncha-e-jauhar se kahunga
sairab na huun tujh lab-e-shirin se agar main
ye tishna-labi chashma-e-kausar se kahunga
bujha hai ‘alim’ aaj ki hai husn ka tu ganj
ye ḳhush-ḳhabari ashiq-e-be-zar se kahunga
Leave a Reply