teri yadon ne kabhi chain se jiine na diya
main ne chaha to mujhe zahr bhi piine na diya
yuun hi ban ban ke bigadte rahe ain-e-vafa
be-saharon ko sahara to kisi ne na diya
gham to gham josh-e-masarrat ne badhaya vo junun
chak-e-daman kisi unvan bhi siine na diya
zindagi gham se sanvarti hai ye maana lekin
manzil-e-gham men sahara to kisi ne na diya
aaj kyuun aa gae tum dard ka darman ban kar
jam-e-furqat bhi mujhe chain se piine na diya
tere milne ki khushi tere bichhadne ka malal
ghamza-e-sham-o-sahar ne hamen jiine na diya
kis se shikva karen virani-e-hasti ka ‘hayat’
ham ne khud apni tamannaon ko jiine na diya
Leave a Reply