ḳhvabon men bhi gar vasl ka imkan nahin hai
shab jagte rahne men bhi nuqsan nahin hai
rasta vo badalna hi tha ham donon ne lekin
hairat to yahi hai ki tu hairan nahin hai
kyuun ḳhauf-zada ho ga.e tum ek ghaTa se
main ne to bataya tha ki tufan nahin hai
phir kaun yahan aisa jo pahchanta mujh ko
jab tere siva koi bhi pahchan nahin hai
‘shahin’ go ujḌa hua rasta to hai lekin
ye dil ki tarah gosha-e-viran nahin hai
Leave a Reply